Hello
Doston Kya Ap Pareshan Hen ke Ap ke Whats app Par Ai hui Chizen Apki Bina Parmission Ke Download Ho Jati Hen Or Apki MB West Ho Jati He or Ap Nirash Ho Jate Hen Ke Meri MB West Ho Gai Ab Apko Pareshan Ya Nirash Hone Ki Zaroorat Nhi He Me Apko Aaj Ki Is Post Me Yahi Btaunga Ke Kese Ap Whats App Par Aii Hui Chizen Jese Image, Audio, Video, & Documents Auto Download Off Kese Karen....Age Badhne Se Pehle Aapne Ager Apne Hamare Recent Post Nhi Read Ki To Ab Read Karlen Ummid Karta Hun Apko Unse Kafi Help Milegi
1st Post
Kisi Bhi Android Mobile Me Ek Click Me Screen Short Kese Len
2nd Post
Whats App Ke New Features. 2017 (Jo Ap Nhi Jante Honge)
AAJ KI POST SE RELATED PROBLEMS
1. Step
Sabse Apna Whats App Open Kijiye Open Karne Ke Bad Setting Me Jaiyen Or Wahan Par Data Usage Ka Ek Option Hoga Us Par Click Karen..
(Ziyada Help Ke Liyen Niche Image Me Dekhen)
Next Step
Uske Bad Ek Option Hoga Whene Using Mobile Data Ap Us Par Click Karen Ek Popup Window Khule gi Jisme Photo, Audio, Video, Or Documents Ke Option Honge Apko Jo Jo Auto Download Karna He Us Par Tick Karen Or Bas Ho Gaya Apka Kam...
(Ziyada Help Ke Liyen Niche Image Me Dekhen)
Agar Ap Mobile Data Use Karte Hen To Gaya Apka Kam...
Agar Wifi Bhi Use Karte Hen To Age Ke Step Follow Karen
Doston Is Feature Ki Sab Se Achi Bat Yahi Ke Ap Jab Bhi Kisi Ka Wifi Use Kar Rahe Ho to Apke Whats App Par Aai Hui Chizen Automatically Download Ho Jaiyengi Matlab Free Me Sab Download Agar Ap Usko Bhi Choose karna He To Kuch Step follow Karen..
1st Step
Ab Ap Wapas Se Whats App Open Karen Or Data Usage Wale Wale Option Me Jaiyen
Ab Ap Dekhenge Whene Connect On Wifi Ka Ek Option Hoga Us Par Click Karen Or Dubara Ek Popup Widow Khulegi Usme Bhi Photo, Audio, Video, Or Documents Ke Option Honge Apko Jo Jo Wifi Auto Download Karna He Us Par Tick Karen Or Bas Ho Gaya Apka Kam...
(Ziyada Help Ke Liyen Niche Image Me Dekhen)
Options Ticks Karen
Doston Ummid Karta Hun Ke Aj Ka Hamara Post Apko Acha Lag Hoga Abhi Ke Liyen Itna Hi Milta Hun Apni Next Post Me Ek New Trick Ke Sath Hamari Post Ko Dhiyan Se Read Karen Or Jitna Ho Sake Utna Share Karen Take Hume Apki Taraf Se Achcha Respose Mile Or Hum Apke Liyen Achchi Achchi Tricks Laiyen
Abhi Ke Liyen Itna Hi Apko Is Trick Me Koi Bhi Problem Ho Yah Kuch Or Janna Ho To Hame Niche Comment Me Batiyen Hum Apki 24X7 Hours Help Krenge Milta Hun Apne Next Post Me Kuch New Tricks Ke Sath Tab Tak Keliyen {GOOD BYE}
{SHUKRIYA}





